How to Delete Temporary Files on computer In Hindi


Hello Aaj Hum thoda kuch computer ke bare me jaan late hai.
Aaj mai apko batauga ki kaise apne computer ki temporary file (junk file ) ko delete kr sakte hai.

Pehle ya jan lete hai ki temporary files kya hota hai, kyo inke karan computer slow ho jata hai. Temp. file kisi bhi software ko open karne ke jab usko direct off kiya jata hai to ram me uski jagah kuch files reh jati hai. Jise temp. file kaha jata hai. Ye file ek parkar se virus ka kam karti hai . ye computer ko bahut hi slow kr deti hai.
Agar aapka computer bahut slow chal raha hai iski kai vajah ho sakti hai lekin pehli vajah to temp. file hi hoti hai . ye aapki memory ko bhi kharab kr sakti hai. Esi liye inhe delete karna jaruri hota hai.

How to Delete Temporary Files on computer

Ab main aapko batata hu ki kaise temp. file ko delete kr sakte hai wo bhi ek easy trick se. 

Tips

·       Sabse pehle apne computer ko open kare
·       Fir ek do baar refresh kare taki koi or temp. na bane.
·       Ab keyboard se window key + R Ko dabaye
·       Aapke samne ek sort run ki window open hogi.
Window Key + R
·       Ab isme aapko Temp  likhna hai  or 
·       Ab ek badi window open hogi , agar window open hone ke baad aapko access karne ko bole to Enter Mar de.
·       Ab Aapko bahut sari file dikhayi dengi . un sabhi ko Ctrl+A se select kr ke Shift+Delete dabake delete kr de .
·       Kuch Der Ke Liye apne computer ko off kr de
Fir baad me on kr le ,ab aapke computer ki speed me bahut badlav hoga.
Clear All Temp. Files

Agar apka Computer Bahut Hi Slow Chal Rha Hai Or Temp. Files Delete Karne Ke Baad Bhi Slow Hi Chal Rha Hai To Comment Karke Mujhe Jarur Batayia , main aapki puri help karuga.
Thank You
   

3 comments:

  1. temp file ko delete karne se laptop ki koi software ya program thhodi hi delete hoti hai

    ReplyDelete
  2. bataiye sir thhoda jaldi computer bahut dheere chal rha hai

    ReplyDelete
  3. temporary file delet nahi ho rhi h computer hang ho jata h aur slow chal hara h

    ReplyDelete

Powered by Blogger.