जब नींद ना आये तो अपनाये ये उपाय
जब नींद ना आये तो अपनाये ये उपाय
Nind inshan ke liye bahut hi jaruri cheej hai. Jaise sarir ko swast
rakhna jaruri hai waise hi
puri nind lena bhi jaruri hai. Agar aap puri nind nahi loge to aap bimar ho
sakte ho.
Nind ka na aana bahut
sari bimario ki jad hai. Agar aapko nind achhi tarah se
aati hai to aapke sarir me bhi furti
bani rahti hai. Agar aap sahi
tarah se nind nahi lete ho to aapka sir dard,
sir bahri se lagne lagta hai, or kisi bhi cheej me dil nahi lagna jaisi
pareshani ho sakti hai.
![]() |
Achhi Nind Ke Liye Upaye |
Raat ko nind ko sahi
tarike se
lene ki kosis kijiye. Apne manshik tanav ko khatam karke soye.
Agar aapko nind aane me
pareshani ho or kuch karne ke baad bhi nind nahi aati hai to aap yaha pr diye
gye kuch upaye apna sakte hai.
1. Ashvagandha, sankhpushpi, satavari, mulhati, aavla, or jatamasi or khurasani or ajvayan Inko har ek ko pic kr 50-50 gram
churan bana le. Or jab raat ko sone se pahle aap ise 3 se 5 gram ko dudh ke sath saven kare. Aap keval ek week tak iska paryog karke dekhe
kitna parbhav hota hai. Aapki anidra khatam hokr bahut hi achchi nind aane
lagegi. Or subah uthte time bhi tajgi ka mahsus hoga.
2. Aap sarpgandha, Ashvagandha or bhang in teeno ko achchi tarah se mila le. Or inke is churan ko pani
ke sath 3-4 gram ki matra me le. Yah bahut hi achchi
dua hai nind ke liye.
No comments: