क्या आपका बच्चा हकलाता या तुतलाता है। यदि हां तो अपनाये ये उपाय
Bacho Ka Hacklana Kaise Dur Kare
Bacho me
hacklane ya tutlane ka rog adhiktar nadi me kisi parkar se dos hone pr hota
hai. Yah rog un logo ko bhi ho jata hai jo tutlane walo ki nakal karte hai.
Haklane or Tutlane Ke Lakhsan
Jab koi bolte samay sabdo ko thik parkar na bolkr thoda ruk ruk kr bolta hai to use tutlana ya haklana bolte hai. Kuch logo me ye bimari thodi si hoti hai. Jo apne aap thik ho jati hai. Lekin kuch logo ko jyada tutlana ya haklaht ho jati hai. Or unko bahut hi pareshani ho jati hai.
Haklane ya Tutlane Ke Karan
Jab Logo
ki pasiyo me tatha sanayu me kuch dos ho jata hai to unko bolne me thodi
pareshani aati hai. Is rog ke hone ke karan jamri jibh or hoto se bolne me
kathinai aane lagti hai. Haklane ke karan logo ka majak banaya jata hai.unko
bahut jayda sarmidgi mahsus hoti hai. Iska time pe ilaj ho jana thik hota hai.
Haklane Ya Tutlane Ke Rog Ka Upchar
Yadi koi
bacha haklata ya tutlata hai to usko kuch dino tak aawla chabane ke liye dena
chahitye. Jis se rogi ki jibh patli ho kr uski aawas saph aane lagti hai.
Jis ko
ye rog hota hai usko raat ko bhigoa hue kuch badam subah unka chilka utar kr or
unko piskr makhan or mishri ke sath khilana chahiye. Uska yah rog kuch hi dino
me thik ho jata hai .
Kisi
bache ko ya kisi aadmi ko yah rog ho jaye to use har roj 10 kali mirch ko badam
ke sath piskr usme kuch misri milake chatne se uska yah rog jaldi hi thik ho
jata hai.
Agar aap
gay eke ghi me aawale ke churan ko mila loge or usko chatne e aapko haklane or
tutlane ki bimari thik ho jayegi.
Shyam ko
chuhare ko pani me bigo kr subah dudh me ubal kr kha le or uske baad dudh ko pi
le or iske baad aapko 2 - 2.5 hours tak kuch bhi nahi khana or pina. agar aap
aisa kar do to aapki aawaj bilkul hi saf ho jayegi.
Tutlane
ko thik karne ke liye rogi ko kuch din lagatar ache falo ka juice pilane se
aako is bimari me aaram ho jata hai. Apne khane me dalo ka paryog kare to aapko
bahut hi labh hoga.
Tutlane
me ya haklane me rogi ko chaye (tea), maida, chini or dibbo me band cheejo ka
upyog nahi karna chahiye.
Pani me
namak dal ke nahne or usko pine se aapka haklana thik ho jayega.
Aap
subah uth kr thoda vayam kar le to aapke sanayu ko sakti milegi. Jisse aapka
haklana or tutlana thik ho jayega. Aapko is rog me kuch chinta nahi karni
chahiye.
Is rog
me logo ko puri need leni chahiye. Neend ka bahut hi jyada asar hota hai. Jis
karya ko ya jis kam ko karne se aapko jyada thakan hoti hai aapko wo kam nahi
karna chahiye.
Tutlane
ke rog se chutkara pane ke liye aapko kisi ki sahyta leke kursi pr letkr apne
sarir ko dhila chad dena chahiye. Kuch dino tak ye vayam karne se aapka tulana
bilkul thik ho jata hai.
Kisi bhi
aadmi ko haklane wale aadmi ki nakal nahi karni chahiye. Nahi to kuch dino ke
baad aapki jibh bhi kuch isi tarak react karne lagti hai.
To Dosto
aapne dekha ke kaise hum apne bache ya kis ka haklana band kar sakte hai. Ye
jankari aapne dosto ke sath bhi share jarur kare.
Useful information
ReplyDeleteUseful information
ReplyDeletethanks ji
ReplyDelete