क्या नौकरी में इंटरव्यू से डर लगता है। यदि हाँ तो अपनाये इंटरव्यू के लिए टिप्स
Job Interview Tips In Hindi
Jab bhi aap kahi pe job ke liye jate ho to aapko waha pe
sabse pahle apne aap ko prove karna hota hai. Matlab aapko sabse pahle
interview dena hota hai. Aapka interview hi aapki job ko tay karta hai ki kaisa
inshan hai ye. Job ke layak hai ya nahi hai.
To aaj mai aapko Job interview ki kuch important tips dene
wala hu. Jo aapke bahut hi kam aayegi. To Dosto jyada time na leke mai sidh
points pe aata hu.
1. CV / Resume Ko Sahi Banana
Jab bhi aap kahi pe job apply karte ho to sabse pahle to
aapko waha pe cv ya resume dena hota hai. Resume ke yah maksad hota hai ki aap
us job ke liye best person ho. Aap me wo sab hai jo is job ke liye jaruri hai.
Resume wo cheej hoti hai jo aapko interview ke time sabse
pahle interview lene wale ko dikhani hoti hai.
Ya fir aap ye bhi bol sakte hai ki ye aapka pahle impression hai jo
aapko achche se dikhana hai.
Agar aapki cv ya resume sahi nahi bani hai ya usme kuch
mistakes hai to wo aapki sari mahnat pe pani fer dega.
Aapko sabse jaruri baat ye hai ki aapki choti-choti baatain
aapki badi harkato ki or isara bhi kar rahi hai.
![]() |
Job Interview Tips |
Resume isliye jaruri hota hai kyoki bahut sari company resume
ke basic ko dekh kr hi candidate ko sort lists kar deti hai. Yani unko chat
deti hai. Man lo agar aapko car insurance ki company me kam chahiye to aapko
pahle car insurance company ke liye ek achcha sa resum tyar karvana hoga . or
baad me car insurance company me apply karna hoga.
Mai aapko is post me ye to baat nahi kar raha ki kaise cv ya
resume banaya jaye. Kuch jaruri baation ki taraf dhayan jarur dena chahuga jo
bahut hi jaruri hai.
Jab bhi aap kahi bhi resume leke jao to uska look
professional jarur bana le.
Aap usme chote chote points me apni baat ko clear kare. Ek
baat or yah hai ki aap spelling mistake na hone de. Or resume me kam se kam
char page to hone hi chahiye . taki aapke bare me dekhne ke liye usko thoda
time lage. Is se aapke chances bd jate hai.
2. Job Related Information ko Dhyan rakhna Bahut jaruri hai
Mera ek dost hai jo insurance field se hai. Usko insurance ka
knowledge bahut hi achcha hai. Wo jab bhi koi insurance se related job ke liye
jata tha to wo pahle insurance ki book ko padh ke jata hai or uske liye jaruri
har jaruri cheej ke bare me dekh ke jata tha or uska interview bhi bet hota tha
lekin wo sirf interview deke job nahi karta tha keval apna experience hi bata
tha.
Is se mujhe ye samjhne me madad mili ki job interview ke liye
job ke bare me thodi bahut jankari kyo jaruri hai. Jab tak aap job ke bare me
nahi padhoge wo aapse tarah tarah ke swal karege jinka answer dena muskil ho
jayega. Isiliye thoda internet pr uske bare me dekh ke jarur jana chahiye.
3. Apne Aap Ko Wah Pr Lakh Ke Baat Karna
Aapko ye sochna chahiye ki agar aap kisi ka interview lete to
aap us me kaya dekhte. Sidhi si baat hai
ki aap pahle to uski cv check karte or baad me uski special job vacancy se
related jankari dekhte. Isliye pahle aap apne aapko ye soch ke chalna hai ki
agar mai ye hota to mai kaya karta ya kya puchta . answer milne ke aap uske
bare me jan jayege ki wo kya puch sakta hai.
4 most important part of interview FAG (Frequently ask questions)
Job interview me aap se cv dekhne ke baad kuch question karna
to lajmi hota hai. Interviewer kuch question to jarur karega. Or ye question
eise hote hai ki lagbhag har interview me puche jate hai.or aap un parshan ke
bare me bhi soch sakte ho jinke badle wo aapse puch sakta hai.
Mai aapko interview ke kuch FAG questions likh raha hu taki aapko
pareshani na ho.
1. Wo aapse puch sakte hai ki “ Tell Me About Your ?”
Iske liye aapko apne bare me batana hoga. Yani apna
introduction karna hoga.
2. Wo aapse aapki pichli job ke bare me puch sakye hai jaise “
Tell ME Something About Your Current Job”
Isme aapko apni pichli job ke bare me batana hoga . ismai aap
achche se batana.
3. Wo puch sakte hai “ Do You Want To Ask Any Question”
Ye question aapko wo interview ke baad me puch sakte hai.
4. Ye question har hal me jarur puchege “ Why Do You Want Join
My Company”
Iske bare me to hare k interview me pucha jata hai. Iska ek
achcha sa jawab bana ke jana.
5. What Is Your Weakness or strength And Aapki Sabse Badi
Achievement Date kon si thi. Or bhi bahut sare question hai jo aap se wo puch
sakte hai. Ye questions aap job ki site pe bhi dekh sakte ho.
Maine to isliye bataya taki aapki soch barkarar bani rahe.
Jab bhi aap interview ke liye jaye to apne dimag me 2-3 baar interview process
ko yaad jarur kar le taki aapka dhyan kahi or na ja paye.
Aap interview ki practice ko sis eke samne khade hokr bhi kar
sakte ho aapka aatmvisvas jagega. Aap interview me apna confidence mat khona.
Apne communication pe dhyan jaru de. Jis language me aapko bolna achcha lagta
hai interview usi language ka paryog kare.
To dosto mujhe jitna gyan thaw o mai aapke saht share kar
chukka . or baki ka jo bach gya wo mai aapki feedback me de dunga. Isliye apne
comment me question jarur kare.
जिन लोगों को इंटरव्यू देने जाने में डर का अहसास होता है, उन्हें अपने डर को खत्म कर देना चाहिए। वजह यदि डरते रहे तो नौकरी हासिल करना असंभव हो जाएगा। बेरोजगारों को डर अथवा नौकरी दोनों में से सिर्फ और सिर्फ एक को ही चुनना है।
ReplyDeleteजमशेद जी आपने बहुत ही ठीक कहा जब तक डर है हम आगे नहीं बढ़ सकते। धन्यवाद जी आपका
DeleteInterview par bataye gye aapje yah tips bahut hi kargar hai. agar ham in tips ko follow karenge to hamare interview me succes hone ki poori guarunty hai.
ReplyDeleteJi ha wo hum pe depand karta hai ki hum apnaap ko us ke kabil bana pate hai ya nahi. thanks for comment bro
Delete