मुँह के छालों को ठीक करने के लिए सरल सा उपाय प्रयोग करके देखें
Muh Ke Chalo Ko Kaise Thik Kare
Aapne dekha hoga ki kai logo ko muh me chale ho jate
hai. won a to kuch khane ke layak rahta hai or na hi kuch pine ke. Muh me chale
hone ke karan aadmi ko bukhar taka a jata hai.
Aapko pata hai hi muh me chale kis ke karan hote hai.
mai batata hu aapko ki ye chale kis ke karan hote hai. Akasar hamare pet me
kabaj ke rahne ke karan ya fir humare pet me garmi ho jane ke karan ya fir
danto ke nich jeeb aane se hume chale ho sakte hai. Jyadatar to ye Pet ki gaarmi ke karan hote hai.
Jab Hamari jeeb pr chale ho jaye to hamara bahut hi
bura haal ho jata hai. Jab na to khaya jata or pite time bhi dard hota hai.
Chalo hum aapko kuch saral upaye batate jis se aapke
muh ke chale thik ho jayege.
Muh Ke Chale Dur karne Ke Upaye
1. Aap pan ke sukhe hue patto ka istmal kar sakte ho.
Aap kuch paan ke sukhe patte le or unka churan bana le. Is churan ko aap sahad
me mila ke chat sakte hai. aap aysa 2-3 din tak karte rahe aapke muh ke chale
bilkul thik ho jayege.
2. Maine aapko pahle wali post me sahad ke guno ke
bare me bataya tha ki sahad kitna upyogi hai humare liye. Sahad me thoda sa
mulhathi ke churan ko mila kr aap apne muh ke folo pe laga lo. Or job hi lar
muh se nikle to usko bahar nikle do.
Aapk jaldi hi aaram mil jayega.
3. Choti Harad Ko bilkul hi barik pis kr apne chalo
pe laga lene se aapko muh or jeeb ke chalo se chutkara mil sakta hai.
4. Tulsi ke patto ko har roj chabakr khane ke baad
aap 2-3 gut pani bhi pi le . aapke chalo me aaram mil jayega.
5. muh me ya jeeb pr chale hone pr aap subah sham
aadusa ke 2-3 patto ko chaba kr khane ke
baad uske ras ko apne chalo pr muh ke ander hi rakhe . aapko jaldi hi muh ke
chalo se nijat mil jayega.
6. paan ko lagane wale kathe wo apne chalo pr lagane
se aapko bahut hi aaram milta hai.
7. Muh ke chalo ke liye amrud ke patte bahut hi
labhdayak hote hai. amrud ke paato ko chaba kr khane se muh ke chale dur ho
jate hai.
8. din me 2-3 baare sud desi ghi wo bhi gaye ka apne
chalo pe laga lo 2 dino me aapke chale khatam ho jayege.
9. Mishri ko bahut hi barik pis kr usmai thoda sa
kapur milane ke baad usko apne chalo pr laga lo. aapko bahut hi aaram mil
jayega.
10. Nimbu ka ras chalo ke liye bahut hi achcha hota
hai. nimbu k eras ko sahad me mila kr apne chalo pe laga lo . aapko sigr hi
labh mil jayega.
11. aap doctor se iske liye dua bhi le sakte ho. Agar
nahi leni to aap 2g bhuna hua suhaga leke usko pis kr galisrin me mila kr din me 2-3 baar aap iska istmal
apne muh ke chalo pe karo or aapko fark dikhayi dene lag jayega.
12. Pani me aap nariyal ka pani mila kr paryog kare
to aapko jaldi hi muh ke chalo se chutkara mil jayega.
13. Muh me Ya jeeb pr chale hone pr aap mirchi,
mashale, aachar , khatti cheej ka paryog bilkul na kare.
To dosto ye kuch upaye the aapke muh ke chale dur
karne ke. Agar aapke kisi dost ko ye bimari ho to usko humari website
HelpTomaking.com ke bare me jarur bataye.
Blog ko subscribe jarur kar le taki
koi bhi new bimari ki rogtham ke upaye likhe jaye to aapko suchna aapke mail me
mil jaye.
Keywords: chale in mouth in hindi, muh ke chale ka gharelu nuskhe, chale ka ilaj in Hindi, muh ke chale by muh aana
No comments: