Blog Kaise Banaye
Hello Friends Aaj mai Aapko Blog Banana Sikhauga.
Jaise Aap Apni Job Ki Pure Dil Or Dimag Se Karte Ho Usi Parkar Blogging Ko Bhi Apni Serious Lena Hoga Or Jalad Baji To Bilkul Mat Krna . Kyoki Is Me Nukashan Aapka Hi Hoga .Mere Kahne Ka Matlab Hai Ki Aapko Blogging Karne Mai Koi Jaldi Nahi Dikhani Chahiye . Pehle Aapko Ise Sahi Tarike Se Samajhna Hoga .
![]() |
Create A Blog |
Aagar Aap Ek Professional Blogger Banna Chahte Hai To Aapko Sabse Pehle Blogging Ka Platform Choose Karna Hoga. Agar Aap Abhi Professional Blogging Sikh Rahe Hai Ki Kaise Professional Blogging Hoti Hai To Aapko Pehle Basic Se Hi Suru Karna Thik Rahega .Or Ye Basic Sikhane Ke Liye Blogger Aapke Liye Sabse achcha Hai.To Suruvat Krte Hai Blogger Se Ki Kaise Hum Apna Blog Blogger Pe Bana Sakte Hai.
Blogger Pe Apna Blog Banane Ke Liye Aapko Sabse Pehle Google Me Blogger Search Karna Hoga ,Aap Chahe To Direct Blogger Ki Site (Blogger.com) Pr Ja Kr Bhi Blog bana Sakte Ho. Blogger Me Aapne Gmail Account Se Log In Kar Sakte Ho. Login Karne Ke Baad Ek Dashboard Aapke Samne Khul Jayega. Waha Aapko Create A Blog Likha Hua Dikhai Dega. Us Par Click Karne Ke Baad Ek Window Open Hogi Jisme Aapko Apne Blog Ka Address Dalna Hai. Address Aap Apni Pasand Ka Chun Sakte Hai. Fir Aapko Ek Template Choose Karna Hoga. Or Fir Aapko Create Ke Options Pe Click Karna Hoga. Aapka Blog Ab Lagbhag Tayar Hai. Ab Aapko Isme Apni Pehli Post LiKhni Hoga. Post Likhne Ke Baad. Aap Usko Share Bhi Kar Sakte Ho.
Ayse Aap Apna Blog Tyar Kar Sakte Ho. Aapko Ye Jankari Kaisi Lagi Comment Me Jarur Btaiye. Or Is Blog Pr Bane Rahi . Thank You.
No comments: