बुखार से कैसे बचें। बुखार उतारने के सरल उपाय

Bukhar se kaise Bache

Bukhar ka ilaj kaise kare

Jab mousam badlta hai to choti moti bimariyo ka hona to aam baat hoti hai. Lekin kabhi kabhi wo choti si bimari bhi bada rup le leti hai. Bimari ye nahi dekhti ki aap chote aadmi ho ya bade aadmi ho wo to bas aapki pareshaniyo ko bada deti hai.

Kai bukhar to ayese hote hai ki aadmi ko bilkul hi kamjori ka sikar bana dete hai. Lekin dosto aapko ghabrane ki jarurt nahi hai maine thoda free internet search ki hai . us se mujhe thoda pata chala hai ki buna namak ek aysi duayi hai jiske paryog se har tarah ka bukhar uther jata hai.


Buna hua namak banana ki vidhi bhi bata deta hu aapko

Aap jo namak apne gharo me use karte ho usko lekr apne roti pone ke tave pe thodi si dhimi aach pr bhun le . or jab is namak ka rang coffee ke jaisa ho jaye to isko utar le or thanda kar le. Isko thanda karne ke baad ek sisi me dal de.


Is namak ko upyog kaise karte hai

Jab aapko lagne lage ki aapko bukhar aana sur hogya hai. Jab aapka sarir angdayi todne lage to aap ek chamch ise garam pani me ghol kr pi le or jab aapka bukhar uthar jaye to ek chamch uske baad me le le. Aapka bukhar dibara nahi aayega.

Ismai aapko thodi si sawdhani bhi rakhni hogi


High blood pressure wale rogi ko ye cheej nahi leni chahiye. Kyoki iske us pe side effect ho sakte hai. Isiliye aapko bata bhi raha hu sath me kiss aadmi ko ye use karne nahi chahiye. Ya iske baad me kya karna chahiye ya pale kya karna chahiye.

Iska upyog aapko khali pet karna chahiye. Na to aapko khuch khana hai. Or ek baat ka visesh dhyan rakhna hoga ki bukhar me rogi ko thand nahi lagni chahiye.

Agar aapko bukhar hai or aapko lagatar pyas lag rahi hai to aap pani ko pahle to garam kar le or baad me thanda karke pi le.
Ye paryog karne ke baad aapko  halka bhojan karna chahiye aap chaye pi sakte hai or daliya kha sakte hai.

Agar aapko Sada Bukhar Hai To Aap Or paryog bhi kar sakte hai

Is type ke bukhar me aap apna fast rakh le to aapka bukhar bhi jaldi utar jayega. Aap fast ke baad mung ka upyog karke apni halki khurak le sakte hai.

Kali mirch or tulsi, gud, soth or usmai aap 1-2 nimbu nichodkr uka kada bana ke pi le to aapka bukhar utar jayega. Bukhar me karele ki sabhji sabse achchi rahti hai. Jitna ho sake uthna pani jarur piye or uske baad use bahar nikale ki soche . aapka bukhar bhi usi ke sath bahar nikal jayega.


Keywords: Bukhar kaise thik kare, kaise kare, sarir ki bimari kaise thik kare, bimari se kaise bache, bukhar ka ilaj kaise kare

2 comments:

  1. Bhaut hi upyogi jankari.....papa ji ko bukhar hai.....abhi hi is vidhi ka upyog karke dekhta hu....dhanyavad!

    ReplyDelete
  2. Hi Friend, aap ki sari Post bhut aschi hai. Meri bhi ek Website hai. jha pe mai Blogger, Youtube,Adsense or Hacking se Related Post dalta hu aap meri Website ko Jarur dekhe.http://www.suryaadvertizement.comye meri website hai.

    ReplyDelete

Powered by Blogger.