बालतोड़ को कैसे ठीक करें जानने के लिए पूरी पोस्ट पढ़ें

Baltod Ko Kaise Thik Kare

Baltod ka ilaj hindi me

Sarir me jab kahi bhi balo ke khichav ke karan tutne se waha pe un balo ki jagah pe foda ya funsi ho jaye to use hi Baltod bola jata hai.

Baltod me bahut hi jyada dard hota hai. dard itni had tak chala jata hai ki aadmi bol bhi nahi pata. agar iska jaldi hi ilaj na kiya jaye to ye bahut hi ghatak ho akta hai. isiliye aaj mai aapko iske ilaj ke baare me batane wala hu.

Baltod Ka iLaj Kaise Kare

50-60 Gram neem ke patto ko achchi tarah se pis lo. or unka aakar ek tikiya ki tarah bana lo. ab aap is tikiya ko apne Baltod pe band lo. aapka Baltod jald hi thik ho jayega.

Baltod me aapko bahut jyada kamjori bhi mahsus ho sakti hai. iske liye aap thode se sahad me gaye ka ghi (Makhan) mila kr usmai aap 2-3 bund amrit dhara mila le or usko aap har roj khaye. 

Aapki Baltod ke karan aayi kamjori bilkul khatam ho jayegi.

Baltod ke liye aap ek upaye or bhi kar sakte ho. Kuch gehu ke dane leke unko apne muh me thoda thoda chaba kr usko fir apne Baltod pe lagane se Baltod bahut hi jaldi thik ho jata hai.

Baltod ke liye apne doctor se salah jarur le le ki isko sidhe hi sukhana hai ya fir isko fod kr iske sare kachre ko nikalna hai. agar dard bahut hi jyada hai to aap pain killer le sakte ho. lekin iska jyada paryog na kare to achcha hi hoga.

Baltod me safayi ka pura dhyan rakhe na to infaction hone ka khatra bana rahta hai.

To dosto is jankari ko apne dosto ko bhi share kare

Keywords: Baltod kaise thik kare, Baltod ki jankari, Baltod ki dawa, Baltod ka ilaj hindi me, Baltod ka upchar,

No comments:

Powered by Blogger.