मन पर न रखें समस्याओं का बोझ
Man Par Na Rakhe Samshya Ka BoJh
Manovigyan ki class chal rahi thi. Us
din class me new teacher aayi thi. Aapsi Parichy ke baad teacher ne bacho ko
padhana suru kar diya. Bache bhi dhyan lagakr unke davara padhayi jane wali
baato ko sun rahe the.tabhi teacher ne padhate padhate achanak vahi table pr
rakha pani ka gilas uthaya.
Bache bhi sochne lage ki ab sayad vah
bhi une adha gilas bhara or adha gilas khali wali kahani hi padhayegi. Magar
eske bajaye teacher ne unse pucha ,bacho kyat um bata sakto ho ki mere hath me
jo gilas hai, uska vagan kitna hoga ?
Bache apne apne dimag ke hisab se javab
dene lage. Kisi ne uska vagan 50 gram bataya to kisi to kisi ne jyada ya kam.
Bacho ke jawab sunne ke baad teacher boli ki khar,is gilas ka kitna bhi vagan
ho , is gilas ke vagan ko chhodo.
Wh mayne nahi rakhta. Mayne yeh rakhta hai ki mai
ise kitni der uthaye rakh sakti hu. Agar mai ise 15 se 20 mint tak utha kar
rakhu to mujhe kuch khas fark nahi padega. Lekin yadi me ise lagatar ek gante
tak uthakar rakhu to mera hath dard karne lagega. Isi tarah yadi me ise din
bhar uthaye rahu to yakinan mera hath sunn ho pad jayega. Jisse mujhe kafi
taklif hogi. Bacho ne bhi teacher ki is baat se samhti
jatayi.
Teacher ne kaha bacho isi tarah samasya
bhi hoti hai. agar mai kisi choti si samsya ke bare me kuch der chinta karu to
mere man par jyada bojh nahi padega or agar mai usi ke bare me lagatar sochu ,
bahut hi pareshan rahu to yakinan mera tanav badh jayega.ho sakta hai ki mai
avdshad ki sikar ho jau. Isi liye achcha yahi hoga ki mai us pareshani ke bare
mai jyada pareshan na hokr uske sahi hal
ko dhudu. Kisi bhi samsya ko apne man mai ghar na karne de. Uske bare me
jyada sochna aapko bimar kar sakta hai. teacher ki batayi hui baat ko bacho ne
ghath bandh li .
Thik isi parkar kahani me hamari jivan
ki kahani bhi lagu hoti hai. hume samsya ko jyada serious nahi lena chahiye.
Jyada samsya hure halat bigaad sakti hai.
Dosto Aapko Ye Story Kaise Lagi Mujhe iske Bare me Comment Karke Jarur
Bataye. Mai Apke Comment Ka Wait karuga. Or apne dosto ko share karna nahi bhule .
No comments: