Usefull Tips For Tablet In Hindi
Yadi Aap Tablet Use Karte Hai To Rakhe In Baato Ka Dhyan
Tablet or
PC ka crez bahut hi badta ja raha hai, Ase me inke rakh rakhao me dhyan dena
bahut hi avashak ho gya hai. Isi liye mai Aapko kuch tips de raha hu jisse aap
apne tablet ko jyada samay tak use kar sakte ho.
1. Screen Guard ka Kare Estmal
Kisi bhi
tablet ya PC ka main feature uski tauch
screen hoti hai . isi karn har samay hamar hath screen par hi rahta hai. jisse
screen par screech aane ka dar bana rahta hai. isi liye dhyan rakhe ki ek
achche screen guard ka istmal ho.
Battery Ka Rakhe Vishes Dhyan
Tablet ya
fir kisi laptop me badi screen hone ke karn unki battey bhi jaldi kharch ho
jati hai. Battery ko save karne ke liye apne tablet me background me chal rahe
programo ko band kr de. Or live wallpaper bhi aapki battery ko khatam ka deti
hai . isiliye unka pargog mat kare. Simple wallpaper ka istmal hi kare.
Antivirus Ka Paryog Jarur Kare
Agar aap ke
pass tablet hai to aap jarur hi internet ka paryog karte hoge. Isi liye virus
ki sambhavna bani rahti hai . isiliye ek achcha sa antivirus ka istmal kare.
Achchi Speed Ke Liye
Cleaner Ka Paryog Kar
PC, Mobile
or Tablet ko chalane ka maza bhi jab hi hai jab uski speed bhi achchi ho. Junk
file aapke tablet ki speed ko kam kr deti hai. unhe clean karne ke liye koi
achcha sa cleaner download kar le. Or meri mane to aap ccleaner ka paryog kar sakte hai.
To dosto ye
kuch tips thi jo aapke liye usefull hogi. Agar koi problem hai to aap mujhe bta
sakte ho..agar koi raye dni ho to aap comment bhi kar sakte ho. Or please apne
dosto ke sath share karna na bhule please .
No comments: